Anna Hazare ke udeshya
Dekha Jaaye to Saarvjanik kaamo ke Shritij par Anna ka uday unke Retirement ke baad hi shuru hua. 1975 me fojj se retire hone ke baad veh apni pushteni gaau Raalegadh Sidhhi aaye, To Vahan ke haalat Bhayanak the.
Maharashtra ke Ahmednagar Zile me isthit 3 hazar ki Aabaadi waale gaau Raalegadh Siddhi me 400 Parivaar rehate hai. Pahadiyon ki talhati me mojud is gaau me paani ki Zabardast Kami thi, jiske kaaran kheti barsaat par nirbhar thi aur Barsaat Upar waale ke bharose.
Gaau ke log sapne me bhi sichayi ke baare me nahi soch sakte the. Anna ka Parivaar bhi isi gaau me rehta tha aur unke paas bahot hi kam kheti thi. Anna ko Raksha Mantralye ki or se kuch zamin mili thi, Lekin unke saamne sabse bada sankat tha ki bina paani ke zameen ka kya karen.
gaau pahuchte hi sabse pehle Anna ne 3 hazar rupye lekar vaha ke toote hue mandir ka jirnoddhar karwaya. isse gaau ke logo ka Anna ke Parti Nazariya badal gaya. Shayad sadiyon baad vaha koi dene waala aaya tha. uske baad Anna ke dene aur gaau waalo ne lene ka silsila chalta raha. kabhi sabse pichde aur gareeb gaau me gina jaane waala Ralegadh Siddhi Aaj Rajye Ke Sanpann gaauvo me Aa Chuka Hai

Chal Nikal Vikaas ki gaadi :-
1975 se 2011 tak pichle 36 varsho me Anna ne kya diya aur gaau waalo ne kya liya, iska lekha-jokha heraan kar dene waala hai. gaau me 1 purana baandh tha, lekin diwaar me darar hone ke kaaran Barsaat ka paani beh jaata. Anna ne gaau waalo ke shramdaan ki madad se us baandh ki diwaar ko thik kiya aur water shade management ke sahare Barsaat ke paani ko ikkhatta kar gaau ke saare kuwo me pure saal paani se bhare rehne ki vyavasta ki. paani ki kami se door hote hi gaau me Hariyali Chhane lagi aur gaau ki kismat ke darwaaze khulte gaye. Anna ki koshish se 3 laakh pedh lagaye gaye. iske saath hi gaau waalo me is baat ka Aatmvishwas panpa ki sarkaari madad ke bina bhi hum apni madad khud kar sakte hain aur fir Anna ke Netratv me gaau ne pargati ke raaste par khudko badhana shuru kiya 2 joon ki Roti ko tarasta gaau aaj fal va sabziyo se lekar tilhan aur dalhan ki fasal tak ugaa raha hai.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box