Pura desh Aaj ' dusri aazadi ke aandolan ' me Anna Hazare ke sath khada Hua Hai. Yeh koi chamatkar nahi, jo rato-raat ho gaya aur na hi koi jaadu ki chhadi, jiske na hone ka afsos Pradhan Mantri Lal Kile ke prachir se karte hai. Iske piche hai Anna Ki Abhutpurv Netritva Shramta aur sujhbujh, jiski badolat kabhi paani ko tarasne waale unke pushteni gaanv Raalegadh siddhi ke gramin vikas ka aisa modal desh ke samne rakha jise apnane ko tamaam rajye sarkaare nazar aayi. Raalegadh siddhi ki shakl badalne ke alaava pardesh istar par bhi anna ne kaafi kuch kiya hai
Maharashtra Ke Ahmednagar Ke Paas Bhingar Gaanv me 15 Junuary 1940 ko Baburav Hazare ki patni Lakshmibai Ke Pehle Putr ko janam diya. naam rakha gaya kisan, jinhe aaj ham Anna Hazare ke naam se jaante hain. Anna ke Daada Bhingar me British Sena me Nokri karte the Aur unke Pita vahi ke 1 Aayurvedik Aashram me Chhota - Mota Kaam Karte teh. 1945 me unke Daada Ki mot Ho gayi, Lekin 1952 tak Anna ka Parivaar Bhingar me Basa Raha. 6 bachho ke Parivaar ko Paalna Ab Anna ke Pita ko Mushkil lagne laga, to vo 1952 me apne pushteni gaau Raalgadh Siddhi wapas aa gaye.
Lekin Hazare Parivaar Ki mushkile kam Nahi Hui. Anna Ki Chachi Ke Koi Santaan Nahi Thi. Veh Anna Ko apne saath Mumbai Le Aayi. mumbai me aakar anna ne school jaana shuru kiya aur ve 7th tak ki padhai puri ki. unhone daadar ilaake me phool bechna shuru kiya. kaarobaar me haath batane ke liye unhone apne dono bhaiyyo ko bhi bula liya. 1963 me Anna Apne Daada ke nakshekadam par chalte hue Bhartiye Fojj me bator vaahan Chaalak ho gaye. 1965 ke Bharat - Pak Yuddh me dushmano ki golliyo se bachkar nikalne waale Anna akele Chaalak The.

Aaj desh ke Netratvhin Yuva pidhi ko 73 saal ke Kisan Baburaav Hazare Urf Anna Hazare ke Roop me 1 naya netratv mila hai. Sarakar Asmanjas Me hai aur vipaksh bhi kahin na kahi Anna ke Saath Khade Jan Sailaab ko dekh Asehej hai. Anna ne Mahatma Gandhi Ke Satyagrah ke Hathiyaar ko 1 baar bhi Azmaaya.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box