Anna Hazare Ke Udeshya Part II
Daaru Se Doodh Tak
Anna ne istahniyo yuvaao ko sangathit ka gaau me 3 Abhiyaan Chedhe. ye the- Nashabandi, kulhadhi bandhi, (pedho ki katayi par rok) aur charabandi ( jaanwaro ko gaau ke maidaano me charane par rok ). Raalegadh Siddhi puri Zile me Avedh Desi daaru ke utpaadan ke liye jaana jaata tha. vahaa ke logo ki rozi roti kaafi had tak isi par nirbhar tha. Anna ko nashabandi ke liye kada sangharsh karna pada. kai baar piyakkad darubaazo ko Anna ne gaau ke mandir me saamne bane khambo me baandhkar sazaa di. Anna ka Maanna tha ki jese bimaar padne par kadvi dava lete the, wese hi is tarah ki bimari se chhutkara dilane ke liye kuch kadvi dose deni padti hai.
Anna ne Daaru banane waalo ko unke dhande se nikalkar unhe doodh ki dairy va dusre kaamo me lagaaya. kabhi desi daaru ke liye kukhyaat Raalegadh Siddhi Aaj Apne dugdh utpaadan ke liye jaana jaata hai.
Anna ne gaau me Saamuhik vivah ki shuruwaat ya gareeb va raheeso ke beech ki khayi ko pataane ki koshish ki. gaau ko chuacchut ki bimaari se mukt kiya. gaau me Sant Yaadav Baba Cheritable Trust ki Isthapnaa kar secondary school shuru kiya. vividh karyakaari Samiti ke tehet Anna ne gaau ke kisaano ke liye beej, khaad, sichaayi ke saadhno ki purti karne ki koshish ki. Mahila sshaktikaran ke liye unhone mahila utkarshan mandal banakar mahilao ko rozgaar uplabdh karane ka paryaas kiya. 3 sahakari samitiya banakar kheti ke liye paani ke bantwaare ka parbandh kiya. Yadav Baba dugdh sahakari sang ki isthapna kar gaau me doodh dairy ki isthapna ki. gair - paramparik urja ke upyog ko badava dete hue unhone pure gaau ke raaste sorr urja ke upyog se bijli ka utpaadan kiya jaata hai.
Anna ke in paryaso ke chalte dhire dhire Raalegadh Siddhi Modal ki Charcha pure desh me hone lagi. kai rajyo ne apne adhikariyo ko gramin vikas ke gur sikhne ke liye Anna ke paas bheja. fir to Anna ko desh me Jagah-jagah gramin vikas par vyakhya le liye bulaya jaane laga
Bhrashtachar ke khilaf Bigul
1991 me Anna ne wan vibhaag me panap rahe bhrashtachar ke khilaf bigul bajakar 40 adhikariyo ke khilaf rajye sarkaar ko kaarwayi karne ko majboor kiya. unhone bhrashtachar virodhi aandolan shuru kar morcha khol diya. 1997 me rajye sarkaar dwara pawarlum ki kharid me hue bhrashtachar ko saamne laate hue aandolan chhed diya. unhone rajye ke mantri Babanrav Gholap par awaami marchent bank ghotale me lipt hone ka aarop lagakar mantrimandal se bahar karwa diya. isi BJP-SHIVSENA sarkaar me rahe BJP ke mantri Maha Dev Rav Shivshankar, Shobha Fadnavis aur Shivsena ke mantri Gulab Rav Gavande, Shashikant Sutar, Sabir Shaikh Ko bhi Bhrashtachar ke Aaropo ke kaaran Mantri pad chhodna pada. baad me rajye ke CM Manohar Joshi ne Istifa de diya. 2003 me Anna ne fir Amran Anshan ki ghoshna kar bhrasht mantriyo ke khilaf karwwayi ki maang ki. rajye sarkaar ne Anna ke kehne par saavant aayog ka gathan kiya aur uski sifarisho par rajye ke 3 mantri Vijay Kumar Gavit, Nawab Maalik aur Suresh Dada Jain ko Mantri pad se istifa dena pada.
Anna ne Anshan ke dam par rajye sarkaar se apni saari maange manwa li. aaj Anna ke Ajenda par lokpaal bill hai aur aage veh chunaav me sudhari ki maang bhi karenge.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box